Make your own free website on Tripod.com
 YA ALLAH  humein hamare walidein, ajiz, rishtedaar aur tamam musalmano ko sukoon, itminaan wali zindagi ata farmaa.  
 YA ALLAH  humein taqwa aur parhezgari karne ki taufeeq ata farmaa.  
 YA ALLAH  duniya aur akhirat ki bhalai naseeb farmaa.  
 YA ALLAH  qayamat ke din arsh ka saaya naseeb farmaa.  
 YA ALLAH  duniya aur akhirat ki buraai aur jillat se hamari hifazat farmaa.  
 YA ALLAH  jannat wale noorani amaal wali zindagi ata farmaa.  
 YA ALLAH  humein paak al-insano mein shamil kar.  
 YA ALLAH  humare wajood sab ke liye rehmat bana.  
 YA ALLAH  halal roji ke darwaze charon taraf se khol de.  
 YA ALLAH  teri aur teri mehboob ki mohabbat sab ke dilon mein daal de.  
 YA ALLAH  teri azmat aur teri badhai humare dilon mein daal de.  
 YA ALLAH  deen mubeen ki mehnat ke liye humare ghar walon ko kabool farmaa.