Make your own free website on Tripod.com
YA ALLAH mujhe kaamil imaan naseeb farmaa.
YA ALLAH mujhe hidayat ka raasta ata farmaa.
YA ALLAH kalma taiyaba zabaan par jaari farmaa.
YA ALLAH humare dilon ko deen ki taraf pher de.
YA ALLAH apni khas rehmat hum par naazil farmaa.
YA ALLAH apne qahar wa gazab se bachaa.
YA ALLAH ek lamhe ke liye bhi duniya ke hawale naa farmaa.
YA ALLAH jooth, geebat, keena, bugz, takabbur, burayee aur jhagde se hamari hifazat farmaa.
YA ALLAH tangdasti, khouf, gabrahat aur karz ke bojh ko door farmaa.
YA ALLAH humko dajjal ke fitne, shaitaan aur nafs ke shar se, maut ki sakti se, qabr ke azab se, qayamat ki garmi se, aur jahannam ki aag se mehfooz farmaa.
YA ALLAH hashr ki ruswayee se humare waliden aur umaate mohammadiya ki hifazat farmaa.
YA ALLAH pul siraat per bijli ki tarah guzaar dena.