Make your own free website on Tripod.com
YA ALLAH bila hisaab wa kitaab jannatul firdous mein humein jagah  naseeb farmaa.
YA ALLAH apne arsh ke saaye mein jagah naseeb farmaa.
YA ALLAH namaye amaal dahine haath mein naseeb farmaa.
YA ALLAH hajj-e-baitulla maqbool wa masroor naseeb farmaa.
YA ALLAH munkar nakeer ke sawaalat hum par asaan farmaa.
YA ALLAH qayamat ke din apna deedar ata farmaa.
YA ALLAH humein tere bandon ka mohtaaz naa bana.
YA ALLAH aurton ko mukammal parde ki pabandi ata farmaa.
YA ALLAH choti badi bimaari se humari aur umaate mohammadiya ki hifazat farmaa.
YA ALLAH taqwa aur parhezgari karni ki taufeeq farmaa.
YA ALLAH musalmano ko siraat-e-mustaqim per qaaim rehnewala bana aur apni raza per raazi rehne ki taufeeq ata farmaa.
YA ALLAH huzoor (SAW) ne bhalai ke liye jo dua maangi ouse humare haq mein kabul aur jin jin buraiyon se panaah chahi ousse humari hifazat farmaa.