YA ALLAH
huzoor Mohammed Mustafa (SAW) ke pyaare tarike hum ko sikhaa de aur aap ki
sunnat per chalne ki taufeeq ata farmaa.
|
YA ALLAH
humare dilon mein apni aur rasoolAllah (SAW) ki mohabbat ata
farmaa.
|
YA ALLAH
qayamat ke din huzoor (SAW) ke mubarak haaton se jaame kause peena naseeb
farmaa.
|
YA ALLAH
qayamat ke din huzoor (SAW) ki shafaat naseeb farmaa.
|
YA ALLAH
tamam momin musalman jo dare fani se kooch kar gaye unhe jannat mein aala
se aala jagah naseeb farmaa.
|
YA ALLAH
unke liye jannat ke aaton darwaze khol de.
|
YA ALLAH
unke liye jahannam ke saaton darwaze bandh kar.
|
YA ALLAH
unke qabr mein rehmat baarish farmaa.
|
YA ALLAH
unke qabr ko mashriq se magrib tak wasi farmaa.
|
YA ALLAH
unko karwat–karwat sukoon, itminaan ata farmaa.
|
YA ALLAH
jo kuch dua mein maangne me reh gaya ouse bhi kabool farmaa.
|
YA ALLAH huzoor (SAW) ke
sadke tufail mein humare dua kabool farmaa.
|